- lyricssy
- July 7, 2024
- Hindi Lyrics
Share this post :
Wish To Die Lyrics Song Info
Wish To Die Lyrics
Ab har roz ladta jung khudse bolta nahi hu
Meri baatein na samjhe ye par mai totla nahi hu
Kara totka par koi bhi na khojta hai baap ko fikar meri
Mai uske baare sochta nahi hu
Ab har roz ladta jung khudse bolta nahi hu
Meri baatein na samjhe ye par mai totla nahi hu
Kara totka par koi bhi na khojta hai baap ko fikar meri
Mai uske baare sochta nahi hu
{Verse}
Han thoda sa mai besabar
Ye halaat bane kaanch ke aur tootne laga hai ghar
Koi thaamega kya haath mera
Mere zindagi ke maaine kisi ko dhoondhe dar ba dar
Hai ek sawaal jo dikhaata mujhe raasta
Dhoondhu mai jawaab ya maut se maangu raabta
Khudka banu naaz na banu mai ek ehsaan sa
Ek aaine ko todte hue mai sochu khwaab ka
Rootha parinda ye aur ghosla bhi tod daal
Maangra hu aas tujhse aasra bhi chod bhaag
Baap ko fakar hai mere hausle e janaaze pe
Aur ghar se rehke door maa se kaise karu mulakaat
Usne bhi choda mujhko zamane ki kya hi baat
Bas ek wafadaar mera bura haal
Saamne rassi Aur ek pankha
Karte mann ki baat
Ab andar toota mai aur bahar deta kandhe chaar
hataash hogaya mai aur bhaagna tha
Aasmaan tha viraan mujhe khuda naapna tha
Mujhe paani thi woh manzil ghosla bhi banana tha
Kar na paaya kuch bhi ghar satane laga
Zamana sa
syaahi aansuon se ho gayi hai
Kala bhi na hoti toh mai khoon kaat ke bahaata
Meri zaat hai hip hop and it saved me for real
Tumhe lage ye bas gaane parinde ne jo
Saha tha
Firse ek din
Firse ek raat
Firse daba dunga
Dil ke saare zakhm aaj
Firse roothne lagi hai meri zindagi
Aur firse mera marne ka mann karne laga ek baar (x2)
Karunga aisa ehsaan is dil pe
Kabhi ye hase na auro ko mil ke
Mujhe kinaare pe family dikhe
Aur boat pe jaate hue homie dikhte
Maa ko pata nahi kaisi aulaad mai
Bhale hu haara hua magar inaam ke taur pe
Jeeti hai zindagi khamakha zindagi
Le aayi bandagi paak
Maru nahi gairo pe apne bhot hai
Saapon ke sheher me akela newla
Meri is ego ke aage pahaad bhi
Aake jhuka jaani ghutne tekta
Ye khade the khoon bahaane
Mai aise gaane laaya badhi hai ekta
Mai zinda insaani shareer me
Khoon hai rago me jungali sher ka
Bolunga mai theek nahi hu
Han mai mean hora hu
Aasmaan paane ke liye
Zameen choda hu
Jise bhot zyada ghum hai use feel hora hu
Teri taaliyon me har din thoda heal hora hu
Gharwaale nahi karte ghar pe aane ko allow
Mere gaane jitne ho sake utne zyada bajao
Meri niyat rehti saaf tabhi uparwala saath
Tumpe bhot khaali waqt mujhpe 100 baate banao
Mere saare pichle gaane inke badal rahe hain motive
Sawaal pe sawaal har sawaal pe kar focus
Log bole milna chahiye bella ko in baaton ke liye noble prize
Baaki sab nahi lena chahte aisa risk
Jabse maine khuda paa liya
Firse ek din
Firse ek raat
Firse daba dunga
Dil ke saare zakhm aaj
Firse roothne lagi hai meri zindagi
Aur firse mera marne ka mann karne laga ek baar (x2)
Mai chahu dard itna ki na cheekh aa sake
Mai naa rahu firbhi sabhi ko neend aa sake
All i am saying is halaat toh abhi bhi mere theek nahi hai
Jaane ke baad bhi tumhe gile na rahe