- lyricssy
- August 14, 2024
- Hindi Lyrics
Share this post :
Khush Nahi Lyrics Song Info
Album: Shakti
Song: Khush Nahi
Singer: Seedhe Maut
Producer: Calm
Composer: Siddhant Sharma
Lyricist: Siddhant Sharma & Abhijay Negi
Released: Aug 14, 2024
Khush Nahi Lyrics
Teri aankhein khush nahi, mujhe kehti kuch nahi
Teri aankhein khush nahi, mujhe kehti kuch nahi
Kavi ne seekha kya hai karna pyaar, Pehle thha wo andha yaar
Hawas mein dhundhe pyaar, hai wo andha pyaar
Dabaya beast aaya banda bahaar, hua usse close jaise band aakar
Dhandha karta jamnapaar
Kavi ne seekha kya hai ladna yaar
Dekhi kya hai himmat, kya hai izzat, kya hai khud-ba-khud mein marna yaar
Toh ab inn ghaav se mai nahi darta yaar
Aansuon se ladta nahi jab karta hu main apne beete kal ko yaad
[Verse 01]
Nahi ladta aansuon se, kar nahi paata kal ko yaad main
Kar nahi paata mann ko shaant , toh aata hai geet aur pen ye kaam mein
Kosun khudko, gaali deta hun karta jab bhi snooze alarm
Hain homies sochein, “kaise phookega” main sooraj nikla kaha se (Uh)
Karu main khudse vaade, iss baar dekhein kab tak nibhaate
Dard pe mitti paa ke, mar maraa kе, aa gaye yaha pe
Sab theek hai video mеin par kuch cheezein tum dekh nahi paate
Pasina, khoon nahi dikhta hai jab ye chainein chamke yahaan pe
Karta fair kaam, nahi pata dil kahaan hai
Nowhere to be found, woh nahi karta choose sides
Sunoon aaj kal duniya ki, dil aur bhi janaaye
It’s like I am on my own jab bhi kalam ruk jaaye
Kavi ne sikha kya hai?
Kavi ne sikha kya hai?
Kavi ne sikha-
Kavi ne sikha kya hai?
Teri aankhein khush nahi, mujhe kehti kuch nahi
Teri aankhein khush nahi, mujhe kehti kuch nahi
[Verse 02]
Dard mujhe dikhta hai
Tu kehti nahi hai kuch par tera dard mujhe dikhta hai
Teri aankhein hai dikhati, tera dard mujhko dikhta hai
Mere shabdon mein kya koi hamdard tujhko dikhta hai? (Nahi)
Dikhe na dikhe, tera dard mujhko dikhta hai
Mujhko dikhti hai udaasi, tera shaq mujhko dikhta hai
Tere behte aansuon pe tera haq mujhko dikhta hai
Mujhe dikhti tu, aur tujhme apna farz mujhko dikhta hai
Agneepath pe chal pada, ab aage narak mujhko dikhta hai
Aag lag rahi hai, tera dum ghut raha hai, teri saans chadh rahi hai
Meri jwaala ke aage ye agni jhaant bhar nahi hai
Tu bas bolna tujhe chahiye kya, bolna tujhe chahiye kya
Pehla, usko chahiye saccha saathi
Dooja, usko chahiye aisa mard jo galti pe le maang maafi
Aur teeja, usko chahiye jo hai har jagah, aur har jagah hai naa bhi
Usko chahiye pyaar, usko chahiye pyaar