- lyricssy
- October 27, 2024
- Urdu Lyrics
Share this post :
Janay Do Lyrics Song Info
Song: Janay Do
Written & Performed by: Nabeel Akbar
Produced, Mix & Mastered by: Aadi Beats
Artcover by: Haider Raza
Released: Oct 27, 2024
Song Description
Explore the emotional depth of Janay Do Lyrics by Nabeel Akbar, a poignant track that beautifully expresses the complexities of love and heartbreak. This captivating song combines heartfelt lyrics with a memorable melody, drawing listeners into its narrative. Nabeel Akbar’s powerful vocals convey a range of emotions, making it a must-listen for fans of soulful music. Whether you’re going through a tough time or simply appreciate good music, Janay Do resonates deeply and will leave a lasting impression. Discover the magic of this song and its relatable themes today!
Janay Do Lyrics
Gumnaan madhosh ghoome saari raat
Kitno ko dafan kiya? Kitno ke dafan raaz?
Nashe may nahi hosh, kitno ko ragad diya
Kitno ko, kitne se, kitna kuch kar diya?
Bhoolay mujhe aise jaise laga ke mein marr gaya
Apne the mere, sulook sagay se bhi bura kiya
Mein ne bhula diya, dhuain may sub uda diya
Kehlo mein ne takht ka he rukh jaise ghuma diya
Hokay tum sub jaisa bhi mein kaafi tumse alag
Hai di ek akele aadmi ne baazi puri palat
Shuru se jazbaati, mein ne kaha tha naa paaji
Karta baatein saari sahi, bus yeh karne ka tareeqa galat
Close walay door, door walay close
Mere niklay saanp saare, woh jinhe samjha tha dost mein nе
Hota nahi kisi pe jaldi se aitbaar mujhe
Hota boht faraq cheezain karnе aur bolnay may
Kyun mein ladta uss se jisko mein ne maana bhai?
Kyun giraata usse jisko mein ne raah dikhaayi?
Aaj woh bana phiray dushman meri jaan ka
Jou pairon may gira tha kal jab uski mein ne jaan bachayi
Haq par lekar betha dushmani kyun khamkha he?
Wafadaaron ke saath hoti rehti bewafayi
Kiye waaday tou phir pooray bhi nibhaaye
Ab teri tarah har koi ho, aisa bhi tou zaroori nahi
Kiye gunaah, mili saza, I got no regrets
Saara kuch gawa chuka, now I got nothing left
Kuch nahi khonay ko tou saara kuch hai paanay ko
Ab haar kuch mein sakta nahi, chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Uss se pehle ke tum haathon mere maare jao
Raaste se hatto mere, chhodo jaanay do
Kuttay bhookay bhonkein, daalo inko khanay ko
Jhoot mun pe bolay, maaro isko saalay ko
Ho chuki tumhari kutton jaisi haalat
Jidhar dikhe paisa, bethke waise tum bhi dum hilatay ho
Tum waise bilkul nahi jaise nazar aate ho
Tum apni asliyat ko duniya se chhupate ho
Jhootay fasanay gao, jhootay apne gaane gao
Par kisi se naa sahi darro apne khuda se tou
Kabhi tou marrke tumhe bhi shakal usko dikhaani hogi
Jisne di hai zindagi ussi ko phir lautani hogi
Waqt lagta hai magar rabb sub ka hai
Kabhi naa kabhi qeemat gunaahon ki chukaani hogi
Palay-bhaday mere sadkon pe fauji banay
Pakkay khilaadi, woh bhi umron may chhoti
Mujhe khushi mujhse chalay teri roti
Tere “Munde Busy” lagay meri karne may copy
Jism ka jaise rooh saath chhod gayi
Mein reh nahi sakta chup, mujh may qaabu aur nahi hai
Kadwe alfaaz magar sachi karein baat yeh
Sub mein nahi bol raha hun, yeh sub daaru bol rahi hai
Bhoolne naa dena Rabb mujhe meri auqaat ko
Mujhe bhook nahi, tum yeh puri plate chaat lo
Neend nahi aarahi tou yeh lo ek aur goli taap lo
Pait nahi bhara tou yeh lo yeh waala bhi chhaap lo
Kiye gunaah, mili saza, I got no regrets
Saara kuch gawa chuka, now I got nothing left
Kuch nahi khonay ko tou saara kuch hai paanay ko
Ab haar kuch mein sakta nahi, chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Uss se pehle ke tum haathon mere maare jao
Raaste se hatto mere, chhodo jaanay do
Ek yaar tha mera jispe daulat saari luta di
Ek yaar tha mera mujhi se kargaya daghabazi
Aksar aati mujhe yaad woh jou nahi ab mere saath
Ek yaar tha mera mujhe jou kargaya sharabi
Ek yaar tha mera jise nashe ki latt khaa gayi
Ek yaar mera jigri magar mujhse milta nahi
Saaray yaaron ke liye karta mein hun dua
Khuda khush rakhe unhe bhi mujhe dete jou baddua
Kisi ko pata nahi kab, kaise, kya hua
Hum bata naa sakay kisi ko, dil bangaya ek kuaan
Jaise naa hogi kabhi lagta iss may ghum ki kami
Aise badal de maazi mera lele mujhse sabhi paise
Mitta de hatheli se mere jou yeh daagh rehte
Mujhe meri jaan dede, yaa phir meri jaan lele
Mila de mujhe mere tu Parwardigar se
Khauf nahi mujhe, mein maut ko bhi milun saamnay se
Zamana jaali, aksar bhaari padti karni naiki
Qaatil ghoome khula, laapata “Hawwa Ki Beti”
Badla le jou ulta duniya usko mujrim kehti
Mujhe mila tou khud maar dunga mein usse bhi
Kyun sunu mein baatein jab madad nahi meri kisi ne ki?
Kyun maangu mein maafi jab pata ke galti meri nahi thi?
Kisne kisko kitna diya, kisne kis se kitna liya?
Aaja beth bhadwe dono baat karein zindagi ki
Kiye gunaah, mili saza, I got no regrets
Saara kuch gawa chuka, now I got nothing left
Kuch nahi khonay ko tou saara kuch hai paanay ko
Ab haar kuch mein sakta nahi, chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Uss se pehle ke tum haathon mere maare jao
Raaste se hatto mere, chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Chhodo jaanay do
Uss se pehle ke tum haathon mere maare jao
Raaste se hatto mere, chhodo jaanay do